kuch lafz bole usne
jo paas bulakar bhi door hi rakhe
zaroorat na use thi humari
shiqayat phir kis baat ka karte
haan manzoor hai
agar dil phirse toote
be-imtehan ishq hai karna, rakhenge sabar
aakhir taj mahal bhi hai pyaar ka ek kabar
na zhahir hogi is dil ki shiddat
na waqt badlega humaari taraf
didaar na ho ankhein jab tak
ek dua aapke naam rahegi tab tak
ek dhun jo geet na ban saki
shayad har lafz dil ki baat keh na payi
kaahil bheite, raat din bas khayal me
aur judh gaye itihas me daastan-e-ishq ke panne
Amazing 👌
ReplyDelete