Skip to main content

Posts

Showing posts from November, 2020

woh jo ho na saka

kuch lafz bole usne jo paas bulakar bhi door hi rakhe zaroorat na use thi humari shiqayat phir kis baat ka karte haan manzoor hai agar dil phirse toote be-imtehan ishq hai karna, rakhenge sabar aakhir taj mahal bhi hai pyaar ka ek kabar na zhahir hogi is dil ki shiddat na waqt badlega humaari taraf didaar na ho ankhein jab tak ek dua aapke naam rahegi tab tak ek dhun jo geet na ban saki shayad har lafz dil ki baat keh na payi kaahil bheite, raat din bas khayal me  aur judh gaye itihas me daastan-e-ishq ke panne 

Feeling

dil me ek bojh sa hai kuch na hone se kuch saath sa hai thodi bahot yaadon me  phir baki theraav aur yeh sehmi zindigi na jane yeh dil ko kya hai kami na shaksh na sukoon mange duao me is ehsaash ko koyi bas samjhe dil ke alfazon se waqt ke intezaar me pal har pal ki kismat kuch lakir badal de zameen se Ishq aur hawa se baate leharo se dosti jo aate jaate zinda hai dil baraf ki tarah jo girne se na toote bas pyaar se phigle akelapan aur aawargi bas chai sutta aur yaar ki bakchodi hai baki kuch der aur yeh shaam phir lautna hai kal ke imtehaan na, na-khush hu yaaro na afsosh hai kuch bas yeh ajeeb ehsaash  jo dil ke hai paas